शुक्रिया हस्ती का लेकिन तुमने ये क्या कर दिया
अरे पर्दे ही पर्दे में अपना राज़ अफ़्शा कर दिया
माँग कर हम लाये थे अल्लाह से एक दर्द-ए-इश्क़
वो भी अब तक़दीर ने औरों का हिस्सा कर दिया
दो ही अंगारे थे हाथों में ख़ुदा-ए-इश्क़ के
एक को दिल एक को मेरा कलेजा कर दिया
मैं तो अपनी बेख़ुदी-ए-शौक़ क ममनून हूँ
बारहा मुझ को भरी महफ़िल में तन्हा कर दिया
मरहमत फ़रमा के ऐ सीमाब ग़म की लज़्ज़तें
ज़ीस्त की तल्ख़ी को फ़ितरत ने गवारा कर दिया
śhukriyā hastī kā lekin tumne ye kyā kar diyā
are parde hī parde meṅ apnā rāz afśhā kar diyā
māṇg kar ham lāye the allāh se ek dard-e-iśhq
vo bhī ab taqdīr ne auroṅ kā hissā kar diyā
do hī aṅgāre the hāthoṅ meṅ khudā-e-iśhq ke
ek ko dil ek ko merā kalejā kar diyā
maiṅ to apnī bekhudī-e-śhauq ka mamnūn hūṇ
bārhā mujh ko bharī mahafil meṅ tanhā kar diyā
marahmat farmā ke ai sīmāb ġham kī lazazteṅ
zīst kī talkhī ko fitarat ne gavārā kar diyā