Sholaa thaa jal bujhaa hoon havaaen mujhe na do

शोला था जल बुझा हूँ हवाएं मुझे न दो
Year
Language

शोला था जल बुझा हूँ हवाएं मुझे न दो
मैं कब का जा चुका हूँ सदाएं मुझे न दो

जो ज़हर पी चुका हूँ तुम्हीं ने मुझे दिया
अब तुम तो ज़िंदगी की दुआएं मुझे न दो

ऐसा कभी न हो के पलट कर न आ सकूँ
हर बार दूर जा के सदाएँ मुझे न दो

कब मुझको ऐतराफ़-ए-मुहब्बत न था 'फ़राज़्'
कब मैंने ये कहा था सज़ाएं मुझे न दो

śholā thā jal bujhā hūṇ havāeṅ mujhe na do
maiṅ kab kā jā chukā hūṇ sadāeṅ mujhe na do

jo zahar pī chukā hūṇ tumhīṅ ne mujhe diyā
ab tum to ziṅdgī kī duāeṅ mujhe na do

aisā kabhī na ho ke palaṭ kar na ā sakūṇ
har bār dūr jā ke sadāeṇ mujhe na do

kab mujhko aitrāf-e-muhabbat na thā 'farāz'
kab maiṅne ye kahā thā sazāeṅ mujhe na do