Shauq se naakaamee kee badaulat koochaa-e-dil hee chhoot gayaa

शौक़ से नाकामी की बदौलत कूचा-ए-दिल ही छूट गया
Year
Language

शौक़ से नाकामी की बदौलत कूचा-ए-दिल ही छूट गया
सारी उम्मीदें टूट गईं, दिल बैठ गया, जी छूट गया

लीजिये क्‌या दामन की ख़बर और दस्त-ए-जुनूँ को क्‌या कहिये
अपने ही हाथ से दिल का दामन मुद्दत गुज़री छूट गया

मंज़िल-ए-इश्क़ पे तन्हा पहुँचे कोई तमन्ना साथ न थी
थक थक कर इस राह में आख़िर एक इक साथी छूट गया

'फ़ानी' हम तो जीते जी वो मय्यत हैं बे-गोर-ओ-क़फ़न
ग़ुर्बत जिसको रास न आई और वतन भी छूट गया

śhauq se nākāmī kī badaulat kūchā-e-dil hī chhūṭ gayā
sārī ummīdeṅ ṭūṭ gaīṅ, dil baiṭh gayā, jī chhūṭ gayā

lījiye k‌yā dāman kī khabar aur dast-e-junūṇ ko k‌yā kahiye
apne hī hāth se dil kā dāman muddat guzrī chhūṭ gayā

maṅzil-e-iśhq pe tanhā pahuṇche koī tamannā sāth na thī
thak thak kar is rāh meṅ ākhir ek ik sāthī chhūṭ gayā

'fānī' ham to jīte jī vo mayyat haiṅ be-gor-o-qafan
ġhurbat jisko rās na āī aur vatan bhī chhūṭ gayā