शबाब-ए-रफ़्ता की अब कोई यादगार नहीं
शबाब-ए-रफ़्ता की अब कोई यादगार नहीं
बहार में भी वो रंगीनी-ए-बहार नहीं
कभी हयात की ज़ामिन कभी वसीला-ए-मर्ग
निगाह-ए-दोस्त तेरा कोई एतबार नहीं
बहार अस्ल में होती है दिल की शादाबी
नज़र के सामने जो कुछ है वो बहार नहीं
तेरे जमाल का जब तक न इज़्नु मिल जाये
किसी चराग़ को जलने का इख़्तियार नहीं
हयात में कोई तूफ़ान आने वाला है
बहुत दिनों से कोई मौज बेक़रार नहीं
वो अब भी मुझसे हैं नाराज़ क्या करूँ 'राना'
सलाम करने का उनको गुनाहगार नहीं
śhabāb-e-raftā kī ab koī yādgār nahīṅ
bahār meṅ bhī vo raṅgīnī-e-bahār nahīṅ
kabhī hayāt kī zāmin kabhī vasīlā-e-marg
nigāh-e-dost terā koī etbār nahīṅ
bahār asl meṅ hotī hai dil kī śhādābī
nazar ke sāmne jo kuchh hai vo bahār nahīṅ
tere jamāl kā jab tak na iznu mil jāye
kisī charāġh ko jalne kā ikhtiyār nahīṅ
hayāt meṅ koī tūfān āne vālā hai
bahut dinoṅ se koī mauj beqrār nahīṅ
vo ab bhī mujhse haiṅ nārāz kyā karūṇ 'rānā'
salām karne kā unko gunāhgār nahīṅ