शब वोही लेकिन सितारा और है
शब वोही लेकिन सितारा और है
अब सफ़र का इस्तआरा और है
साथ तो मेरा ज़मीं देती मगर
आसमाँ का ही इशारा और है
हारने में इक अना की बात थी
जीत जाने में हज़ारा और है
और कुछ पल उसका रस्ता देख लूँ
आसमाँ पर एक तारा और है
हद चराग़ों की यहाँ पे ख़त्म है
आज से रस्ता हमारा और है
śhab vohī lekin sitārā aur hai
ab safar kā istaārā aur hai
sāth to merā zamīṅ detī magar
āsmāṇ kā hī iśhārā aur hai
hārne meṅ ik anā kī bāt thī
jīt jāne meṅ hazārā aur hai
aur kuchh pal uskā rastā dekh lūṇ
āsmāṇ par ek tārā aur hai
had charāġhoṅ kī yahāṇ pe khatm hai
āj se rastā hamārā aur hai