शाम से आँख में नमी सी है
आज फिर आपकी कमी सी है
शाम से आँख …
दफ़्न कर दो हमें के साँस मिले
नब्ज़ कुछ देर से थमी सी है
आज फिर आपकी …
वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर
इसकी आदत भी आदमी सी है
आज फिर आपकी …
कोई रिश्ता नहीं रहा फिर भी
एक तसलीम लाज़मी सी है
शाम से आँख …
śhām se āṇkh meṅ namī sī hai
āj phir āpkī kamī sī hai
śhām se āṇkh …
dafn kar do hameṅ ke sāṇs mile
nabz kuchh der se thamī sī hai
āj phir āpkī …
vaqt rahtā nahīṅ kahīṅ ṭik kar
iskī ādat bhī ādmī sī hai
āj phir āpkī …
koī riśhtā nahīṅ rahā phir bhī
ek taslīm lāzmī sī hai
śhām se āṇkh …