Shaam ko subah-e-chaman yaad aaee

शाम को सुबह-ए-चमन याद आई
Year
Language

प्रेलुदे
यूँ तेरी याद से जी घबराया
तू मुझे भूल गया हो जैसे

शाम को सुबह-ए-चमन याद आई
किसकी ख़ुश्बू-ए-बदन याद आई

याद आये तेरे पैकर के ख़ुतूत
अपने कोताही-ए-फ़न याद आई

चाँद जब दूर उफ़क़ में डूबा
तेरे लहजे की थकन याद आई

दिन शुआओं से उलझते गुज़रा
रात आई तो किरन याद आई

जब ख़यालों में कोई मोड़ आया
तेरे गेसू की शिकन याद आई

prelude
yūṇ terī yād se jī ghabrāyā
tū mujhe bhūl gayā ho jaise

śhām ko subah-e-chaman yād āī
kiskī khuśhbū-e-badan yād āī

yād āye tere paikar ke khutūt
apne kotāhī-e-fan yād āī

chāṇd jab dūr ufaq meṅ ḍūbā
tere lahje kī thakan yād āī

din śhuāoṅ se ulajhte guzrā
rāt āī to kiran yād āī

jab khayāloṅ meṅ koī moṛ āyā
tere gesū kī śhikan yād āī