शाम के वक़्त जाम याद आया
कितना दिलचस्प काम याद आया
जब भी देखा कोई हसीं चेहरा
मुझको तेरा सलाम याद आया
सुनके क़िस्से ख़ुदा की अज़्मत के
आदमी का मक़ाम याद आया
बंसरी की नवा को तेज़ करो
आज राधा को श्याम याद आया
सहन-ए-मस्जिद में भी हमें 'मोहसिन्'
मयकदे का क़याम याद आया
śhām ke vaqt jām yād āyā
kitnā dilchasp kām yād āyā
jab bhī dekhā koī hasīṅ chehrā
mujhko terā salām yād āyā
sunke qisse khudā kī azmat ke
ādmī kā maqām yād āyā
baṅsrī kī navā ko tez karo
āj rādhā ko śhyām yād āyā
sahan-e-masjid meṅ bhī hameṅ 'mohsin'
mayakde kā qayām yād āyā