Shaam hone ko hai

शाम होने को है
Year
Language

शाम होने को है
शाम होने को है
लाल सूरज समंदर मे सोने को है
और उसके परे
कुछ परिंदे कतारें बनाए
उन्हीं जंगलों को चले
जिनके पेड़ों की शाखों पे हैं घोंसले
ये परिंदे वहीं लौटकर जाएँगे
और सो जाएँगे
शाम होने को है
लाल सूरज …

हम ही हैरान हैं
इन मकानों के जंगल में अपना कोई भी ठिकाना नहीं
शाम होने को है
हम कहां जाएँगे
शाम होने को है
लाल सूरज …
शाम होने को है
हम कहां जाएँगे

śhām hone ko hai
śhām hone ko hai
lāl sūraj samaṅdar me sone ko hai
aur uske pare
kuchh pariṅde katāreṅ banāe
unhīṅ jaṅgloṅ ko chale
jinke peṛoṅ kī śhākhoṅ pe haiṅ ghoṅsle
ye pariṅde vahīṅ lauṭkar jāeṇge
aur so jāeṇge
śhām hone ko hai
lāl sūraj …

ham hī hairān haiṅ
in makānoṅ ke jaṅgal meṅ apnā koī bhī ṭhikānā nahīṅ
śhām hone ko hai
ham kahāṅ jāeṇge
śhām hone ko hai
lāl sūraj …
śhām hone ko hai
ham kahāṅ jāeṇge