Shaam-e-gham kuchh us nigaah-e-naaz kee baaten karo

शाम-ए-ग़म कुछ उस निगाह-ए-नाज़ की बातें करो
Year
Language

शाम-ए-ग़म कुछ उस निगाह-ए-नाज़ की बातें करो
बेख़ुदी बढ़ती चली है राज़ की बातें करो

निकहत-ए-ज़ुल्फ़-ए-परीशाँ दास्तान-ए-शाम-ए-ग़म
सुभ होने तक उसी अंदाज़ की बातें करो

जो अदम की जान है जो है पयाम-ए-ज़िंदगी
उस सुकूत-ए-राज़ उस आवाज़ की बातें करो

कुछ क़फ़स की तीलियों से छन रहा है नूर सा
कुछ फ़ज़ाँ कुछ हसरत-ए-परवाज़ की बातें करो

śhām-e-ġham kuchh us nigāh-e-nāz kī bāteṅ karo
bekhudī baṛhtī chalī hai rāz kī bāteṅ karo

nikahat-e-zulf-e-parīśhāṇ dāstān-e-śhām-e-ġham
subh hone tak usī aṅdāz kī bāteṅ karo

jo adam kī jān hai jo hai payām-e-ziṅdgī
us sukūt-e-rāz us āvāz kī bāteṅ karo

kuchh qafas kī tīliyoṅ se chhan rahā hai nūr sā
kuchh fazāṇ kuchh hasrat-e-parvāz kī bāteṅ karo