lagī mast nazar kī kaṭār dil ke utar gayī pār
in pyār kī rāhoṅ meṅ
dil bhī gayā ham bhī gaye
zakhm-e-jigar hai bahār
chehrā chamkīlā sūraj ho jaise pyār kā
bāheṅ lahrātī naqśhā hai ik talvār kā
ham to luṭ gaye
khuśhī se ham to luṭ gaye
khāmośh nazāroṅ meṅ
pyāsī adā jis pe fidā
ham to hue sau bār
mast nazar kī kaṭār
āṇkheṅ matvālī ulfat ke jaise rāste
palkeṅ albelī chhāyā hai mere vāste
ghūme ziṅdgī naśhe meṅ jhūmeṅ ziṅdgī
dilbar ke khayāloṅ meṅ
ham to magan gāte chale
pyār ke naġhme hazār
mast nazar kī kaṭār
khuśhbū zulfoṅ kī ātī hai sard havāoṅ se
khoyā chāhat meṅ ab guzrūṇ hūṇ jis gāṇv se
yādeṅ gher leṅ hamko yādeṅ gher leṅ
jaṅgal kī fizāoṅ meṅ
vo jo nahīṅ phīkā lage
raṅg bharā saṅsār