Sataa sataa ke hamen ashqbaar kartee hai

सता सता के हमें अश्क़बार करती है
Year
Language

सता सता के हमें अश्क़बार करती है
तुम्हारी याद बहुत बेक़रार करती है

वो दिन जो साथ गुज़ारे थे प्यार में हमने
तलाश उनको नज़र बार बार करती है

गिला नहीं जो नसीबों ने कर दिया है जुदा
तेरी जुदाई भी अब हमको प्यार करती है

कनारे बैठ के जिसके किये थे कौल-ओ-क़रार
नदी वो अब भी तेरा इंतज़ार करती है

satā satā ke hameṅ aśhqbār kartī hai
tumhārī yād bahut beqrār kartī hai

vo din jo sāth guzāre the pyār meṅ hamne
talāśh unko nazar bār bār kartī hai

gilā nahīṅ jo nasīboṅ ne kar diyā hai judā
terī judāī bhī ab hamko pyār kartī hai

kanāre baiṭh ke jiske kiye the kaul-o-qarār
nadī vo ab bhī terā iṅtazār kartī hai