Saraktee jaaye hai rukh se naqaab aahistaa aahistaa

सरकती जाये है रुख से नक़ाब आहिस्ता आहिस्ता
Year
Language

सरकती जाये है रुख से नक़ाब आहिस्ता आहिस्ता
निकलता आ रहा है आफ़ताब आहिस्ता आहिस्ता

जवां होने लगे जब वो तो हमसे कर लिया परदा
हया यकलख़्त आई और शबाब आहिस्ता आहिस्ता

सवाल-ए-वसल पे उनको उदू का खौफ़ है इतना
दबे होंठों से देते हैं जवाब आहिस्ता आहिस्ता

हमारे और तुम्हारे प्यार में बस फ़र्क है इतना
इधर तो जलदी-जलदी है उधर आहिस्ता आहिस्ता

वो बेदर्दी से सर काटें अमीर और मैं कहूँ उनसे
हुज़ूर आहिस्ता आहिस्ता जनाब आहिस्ता आहिस्ता

शब-ए--फ़ुर्क़त का जागा हूँ फ़रिश्तों अब तो सोने दो
कभी फ़ुर्सत में कर लेना हिसाब, आहिस्ता आहिस्ता

saraktī jāye hai rukh se naqāb āhistā āhistā
nikaltā ā rahā hai āftāb āhistā āhistā

javāṅ hone lage jab vo to hamse kar liyā pardā
hayā yakalakht āī aur śhabāb āhistā āhistā

savāl-e-vasal pe unko udū kā khauf hai itnā
dabe hoṅṭhoṅ se dete haiṅ javāb āhistā āhistā

hamāre aur tumhāre pyār meṅ bas fark hai itnā
idhar to jaldī-jaldī hai udhar āhistā āhistā

vo bedardī se sar kāṭeṅ amīr aur maiṅ kahūṇ unse
huzūr āhistā āhistā janāb āhistā āhistā

śhab-e--furqat kā jāgā hūṇ fariśhtoṅ ab to sone do
kabhī fursat meṅ kar lenā hisāb, āhistā āhistā