Samaa hai suhaanaa suhaanaa, nashe men jahaan hai

समा है सुहाना सुहाना, नशे में जहाँ है
Year
Language

समा है सुहाना सुहाना
नशे में जहाँ है
किसी को किसी की खबर ही कहाँ है
हर दिल में देखो
मोहब्बत जवाँ है
hmm…

कह रही है नज़र नज़र से अफ़साने
hmm…
कह रही है नज़र नज़र से अफ़साने
हो रहा है असर के जिसको दिल जाने
देखो ये दिल की अजब दास्तां है
नज़र बोलती है, दिल बेज़ुबां है
hmm…
समा है सुहाना सुहाना…

हो रहा है मिलन दिलों का मस्ताना
hmm…
हो रहा है मिलन दिलों का मस्ताना
हो गया है कोई किसी का दीवाना
जहाँ दिलरुबा है, दिल भी वहाँ है
जिसे प्यार कहिये, वही दर्मियाँ है
hmm…
समा है सुहाना सुहाना…

samā hai suhānā suhānā
naśhe meṅ jahāṇ hai
kisī ko kisī kī khabar hī kahāṇ hai
har dil meṅ dekho
mohabbat javāṇ hai
hmm…

kah rahī hai nazar nazar se afsāne
hmm…
kah rahī hai nazar nazar se afsāne
ho rahā hai asar ke jisko dil jāne
dekho ye dil kī ajab dāstāṅ hai
nazar boltī hai, dil bezubāṅ hai
hmm…
samā hai suhānā suhānā…

ho rahā hai milan diloṅ kā mastānā
hmm…
ho rahā hai milan diloṅ kā mastānā
ho gayā hai koī kisī kā dīvānā
jahāṇ dilrubā hai, dil bhī vahāṇ hai
jise pyār kahiye, vahī darmiyāṇ hai
hmm…
samā hai suhānā suhānā…