Sakhtiyaan kartaa hoon dil par

सख़्तियाँ करता हूँ दिल पर्
Year
Language

सख़्तियाँ करता हूँ दिल पर ग़ैर से ग़ाफ़िल हूँ मैं
हाय क्‌या अच्छी कही ज़ालिम हूँ मैं जाहिल हूँ मैं

मैं जभी तक था के तेरी जलवा-पैराई न थी
जो नुमूद-ए-हक़ से मिट जाता है वो बातिल हूँ मैं

बज़्म-ए-हस्ती अपनी आराइश पे तू नाज़ाँ न हो
तू तो इक तस्वीर है महफ़िल की और महफ़िल हूँ मैं

ढूँढता फिरता हूँ ऐ 'इक़बाल्' अपने आप को
आप ही गोया मुसाफ़िर आप ही मंज़िल हूँ मैं

sakhtiyāṇ kartā hūṇ dil par ġhair se ġhāfil hūṇ maiṅ
hāy k‌yā achchhī kahī zālim hūṇ maiṅ jāhil hūṇ maiṅ

maiṅ jabhī tak thā ke terī jalvā-pairāī na thī
jo numūd-e-haq se miṭ jātā hai vo bātil hūṇ maiṅ

bazam-e-hastī apnī ārāiśh pe tū nāzāṇ na ho
tū to ik tasvīr hai mahafil kī aur mahafil hūṇ maiṅ

ḍhūṇḍhtā phirtā hūṇ ai 'iqbāl' apne āp ko
āp hī goyā musāfir āp hī maṅzil hūṇ maiṅ