Sahmaa sahmaa daraa saa rahtaa hai

सहमा सहमा डरा सा रहता है
Year
Language

सहमा सहमा डरा सा रहता है
जानें क्‌यूँ जी भरा सा रहता है

काई सी जम गई है आँखों पर
सारा मंज़र हरा सा रहता है

एक पल देख लूँ तो उठता हूँ
जल गया सब ज़रा सा रहता है

इश्क़ में और कुछ नहीं होता
आदमी बावरा सा रहता है

sahmā sahmā ḍarā sā rahtā hai
jāneṅ k‌yūṇ jī bharā sā rahtā hai

kāī sī jam gaī hai āṇkhoṅ par
sārā maṅzar harā sā rahtā hai

ek pal dekh lūṇ to uṭhtā hūṇ
jal gayā sab zarā sā rahtā hai

iśhq meṅ aur kuchh nahīṅ hotā
ādmī bāvrā sā rahtā hai