ā: sāqiyā -2
sāqiyā āj mujhe nīṅd nahīṅ āyegī
nīṅd nahīṅ āyegī
sāqiyā āj mujhe nīṅd nahīṅ āyegī
sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai
āṇkhoṅ-āṇkhoṅ meṅ yūṇ hī rāt guzar jāyegī
sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai
ko: sāqiyā āj mujhe nīṅd nahīṅ āyegī
sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai
āṇkhoṅ-āṇkhoṅ meṅ yūṇ hī rāt guzar jāyegī
sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai -2
ā: ā
sāqī hai aur śhām bhī
ulfat kā jām bhī
ho
taqdīr hai usī kī
jo le inse kām bhī
raṅg-e-mahafil hai rāt bhar ke liye
ko: raṅg-e-mahafil hai rāt bhar ke liye
ā: sochnā kyā abhī sahar ke liye
ko: sochnā kyā abhī sahar ke liye
ā: raṅg-e-mahafil hai rāt bhar ke liye
sochnā kyā abhī sahar ke liye
terā jalvā ho terī sūrat ho
aur kyā chāhiye nazar ke liye -2
āj sūrat terī bepardā nazar āyegī
ko: sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai
sāqiyā āj mujhe nīṅd nahīṅ āyegī
sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai -2
ā: ā
mohabbat meṅ jo miṭ jātā hai
vo kuchh kah nahīṅ saktā
hāṇ
ye vo kūchā hai jismeṅ
dil salāmat rah nahīṅ saktā
kiskī duniyā yahāṇ tabāh nahīṅ
ko: kiskī duniyā yahāṇ tabāh nahīṅ
ā: kaun hai jiske lab pe āh nahīṅ
ko: kaun hai jiske lab pe āh nahīṅ
ā: kiskī duniyā yahāṇ tabāh nahīṅ
kaun hai jiske lab pe āh nahīṅ
husn par dil zarūr āyegā
isse bachne kī koī rāh nahīṅ -2
zindgī āj nazar milte hī luṭ jāyegī
ko: sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai
ā: o o o
ko: sāqiyā āj mujhe nīṅd nahīṅ āyegī
ā: ā ā ā
ko: āṇkhoṅ-āṇkhoṅ meṅ yūṇ hī rāt guzar jāyegī
sunā hai terī mahafil meṅ ratajgā hai -2