rut āye rut jāye -2
duniyā raṅg badaltī hai
duniyā raṅg badaltī hai, taqaqdīr na badlī jāye
rut āye rut jāye
bahār āī
bahār āī, chaman kī har kalī khil khil ke muskāī -2
naī ḍāle kare aṭke meṅ ā leke ? angaṛāī
magar mere nasīboṅ kī kalī rahtī hai murjhāī
isko kaun khilāye
rut āye rut jāye
barkhā kī rut āī jhūmke, rim jhim rim jhim barse -2
jhilmil jhilmil paṛī puhāreṅ, megh bhare ambar se
rim jhim rim jhim barse
magar pyāsī nayan mere rahe sāvan meṅ bhī tarse
is pyās ko kaun bujhāye
rut āye rut jāye
jag-mag jag-mag āī divālī, ghar ghar huā ujālā re
jag-mag jag-mag āī divālī
jag-mag jag-mag āī divālī, ghar ghar huā ujālā re
chham chham chham chham lachhmī āī -2
pahne dīpak mālā re, ghar ghar huā ujālā re
magar mere bujhe dil ko sadā sansār tānā ? re
is jyot ko kaun jagāye
rut āye rut jāye