(banke suhāgan rahī abhāgan, rūṭh gaī taqdīr merī
rūṭh gaī taqdīr merī)-2
apnī hī taqdīr ke āge, chal nā sakī tadbīr merī
rūṭh gaī taqdīr merī …
(āne ko to āī bahāreṅ, lekin maiṅ barbād huī
baste baste ujaṛ gaii main, ye kaisī bedāg merī)-2
bante bante bigaṛ gaī hai, sapnon kī tasvīr merī
rūṭh gaī taqdīr merī …
(maṅzil tak pahuṇche to, maṅzil aur bhī mujhse dūr huī
hṇste hṇste merī qismat, rone pe majbūr huī)-2
āj zamānā huā begānā, koī na samjhe pīr merī
rūṭh gaī taqdīr merī …