kiśhor: ( sālā maiṅ to sāhab ban gayā
are, sālā maiṅ to to sāhab ban gayā, haiṅ
re, sāhab banke kaisā tan gayā
ye būṭ merā dekho, ye sūṭ merā dekho
jaisā gorā koī lanḍhan kā, hā! ) -2
paṅkaj: vāh fakīre! vāh fakīre!
vāh fakīre, sūṭ pahankar kaisā kūde phāṇde
kavv jaise pṇkh mayūr ke apnī dum meṅ bāṇdhe
kiśhor: apnī dum meṅ bāṇdhe !?
kyā jāno hum is bhejā meṅ kyā-kyā nakśhā khīṅchā -2
līḍar log kī ūṇchī bāteṅ, kyā samjhe tum nīchā
hāṇ, kyā samjhe tum nīchā?
merā vo jāhilpan gayā!
ATTENTION!
sālā maiṅ to …
paṅkaj: sūrat hai bandar kī phir bhī lagtī hai albelī -2
kaisā rājā bhoj banā hai merā gṇgū telī
kiśhor: terā gṇgū telī !?
tum laṅgoṭī-vālā na badlā maiṅ na badlegā
tum sab sālā log kā kismat, ham sālā badlegā
ham sālā badlegā
hāṇ, ham sālā badlegā
hā … (khāṅstā hai)
sīnā dekho kaisā tan gayā !! hā hā hā …
(hṇste hue) sālā maiṅ to …