Sadaqe heer tujh pe ham faqeer sadaqe

सदक़े हीर तुझ पे हम फ़क़ीर सदक़े
Year
Language

सदक़े हीर तुझ पे हम फ़क़ीर सदक़े
तुझ से लुट कर तेरे ही द्वार आये
तू तो फूलों की सेज पे जा बैठी
मेरे हिस्से में राहों के ख़ार आये

झूठे वादे थे तेरे वफ़ा झूठी
खोटे सौदे में ज़िन्दगी हार आये
यही इश्क़ है तो कह दो दुनिया से
किसी बुत पे न किसी को प्यार आये

दे-दे दिल हमारा हमें वापस
जोगी ले कर यही पुकार आये
और माँगें जो कुछ तो मौत माँगें
तेरे दर पे हैं आख़िरी बार आये

जोगी ले कर यही पुकार आये

sadaqe hīr tujh pe ham faqīr sadaqe
tujh se luṭ kar tere hī dvār āye
tū to phūloṅ kī sej pe jā baiṭhī
mere hisse meṅ rāhoṅ ke khār āye

jhūṭhe vāde the tere vafā jhūṭhī
khoṭe saude meṅ zindgī hār āye
yahī iśhq hai to kah do duniyā se
kisī but pe na kisī ko pyār āye

de-de dil hamārā hameṅ vāpas
jogī le kar yahī pukār āye
aur māṇgeṅ jo kuchh to maut māṇgeṅ
tere dar pe haiṅ ākhirī bār āye

jogī le kar yahī pukār āye