dil ko dekho, chehrā na dekho
chehre ne lākhoṅ ko lūṭā
hāṇ, dil sachchā aur chehrā jhūṭhā,
dil sachchā aur chehrā jhūṭhā
jo apnī sachchī sūrat dikhā deṅ, aise nahīṅ duniyāvāle
sab ne hī apne chehroṅ ke āge, jhūṭh ke parde haiṅ ḍāle
mīṭhī hoṭhoṅ pe bāt, dil meṅ rahtī hai khāt
dil kā hoṅṭhoṅ se nātā hī jhūṭhā
hāṇ, dil sachchā aur chehrā jhūṭhā,
dil sachchā aur chehrā jhūṭhā
tan se to āzād ham ho gaye haiṅ, man se gaī nā gulāmī
pardeśhī bhāṣhā aur veṣh ko hī, dete haiṅ ab tak salāmī
bhūlkar apnā raṅg, sīkhe auroṅ kā ḍhaṅg
apnepan kā chalan hamse chhūṭā
hāṇ, dil sachchā aur chehrā jhūṭhā,
dil sachchā aur chehrā jhūṭhā
marzī tumhārī tum kuchh bhī samjho, jo ham haiṅ vo ham hī jāne
raṅg rūp dekheṅ to dekheṅ zamānā, ham pyār ke haiṅ dīvāne
pūje dhan ko saṅsār, hame man se hai pyār
dhan kisī bāt par hamse rūṭhā
hāṇ, dil sachchā aur chehrā jhūṭhā,
dil sachchā aur chehrā jhūṭhā