Sab pench-o-taab-e-shauq ke toofaan tham gae

सब पेंच-ओ-ताब-ए-शौक़ के तूफ़ान थम गए
Year
Language

सब पेंच-ओ-ताब-ए-शौक़ के तूफ़ान थम गए
वो ज़ुल्फ़ खुल गई तो हवाओं के ख़म गए

वो जिनसे शौक़ से तबस्सुम थी पर्दादार
आख़िर वो कौन थे कि बम-ए-शाम-ए-नम गए

वहशत सी एक लाला-ए-ख़ूनी क़फ़न से थी
अबके बहार आये तो समझो कि हम गए

ऐसी कोई ख़बर तो नहीं साकिनान-ए-शहर
दरिया मोहब्बतों के जो बहते थे थम गए

sab peṅch-o-tāb-e-śhauq ke tūfān tham gae
vo zulf khul gaī to havāoṅ ke kham gae

vo jinse śhauq se tabassum thī pardādār
ākhir vo kaun the ki bam-e-śhām-e-nam gae

vahśhat sī ek lālā-e-khūnī qafan se thī
abke bahār āye to samjho ki ham gae

aisī koī khabar to nahīṅ sākinān-e-śhahar
dariyā mohabbtoṅ ke jo bahte the tham gae