ye terā ghar ye merā ghar kisī ko dekhnā ho gar
to pahle ā ke māṇg le, merī nazar terī nazar
ye terā ghar ye merā ghar
ye ghar bahut hasīn hai …
na bādloṅ kī chhāṇv meṅ, na chāṇdnī kī gāṇv meṅ
na phūl jaise rāste bane haiṅ iske vāste
magar ye ghar ajīb hai, zamīn ke qarīb hai
ye īṅṭ patthroṅ kā ghar, hamārī hasartoṅ kā ghar
ye terā ghar ye merā ghar …
jo chāṇdnī nahīṅ to kyā, ye rośhnī hai pyār kī
diloṅ ke phūl khil gaye, to fiqr kyā bahār kī
hamāre ghar na āyegī, kabhī khuśhī udhār kī
hamārī rāhtoṅ kā ghar, hamārī chāhtoṅ kā ghar
ye terā ghar ye merā ghar …