Saaree khushiyaan hain muhabbat kee zamaane ke liye

सारी खुशियाँ हैं मुहब्बत की ज़माने के लिये
Year
Language

सारी खुशियाँ हैं मुहब्बत की ज़माने के लिये
मैं ने तो प्यार किया आँसू बहाने के लिये
सारी खुशियाँ हैं …

काश ये जज़बा-ए-दिल काम तो आ जाता कभी
उनके होंठों पे मेरा नाम तो आ जाता कभी
याद कर लेते मुझे भूल ही जाने के लिये
सारी खुशियाँ हैं …

खून-ए-दिल खून-ए-जिगर खून-ए-तमन्ना के सिवा
सारी दुनिया में मुझे रंग न कोई भी मिला
अपने अरमानों की तसवीर बनाने के लिये
सारी खुशियाँ हैं …

sārī khuśhiyāṇ haiṅ muhabbat kī zamāne ke liye
maiṅ ne to pyār kiyā āṇsū bahāne ke liye
sārī khuśhiyāṇ haiṅ …

kāśh ye jazbā-e-dil kām to ā jātā kabhī
unke hoṅṭhoṅ pe merā nām to ā jātā kabhī
yād kar lete mujhe bhūl hī jāne ke liye
sārī khuśhiyāṇ haiṅ …

khūn-e-dil khūn-e-jigar khūn-e-tamannā ke sivā
sārī duniyā meṅ mujhe raṅg na koī bhī milā
apne armānoṅ kī tasvīr banāne ke liye
sārī khuśhiyāṇ haiṅ …