साक़ी शराब ला के तबीयत उदास है
साक़ी शराब ला के तबीयत उदास है
मुतरिब रबाब उठा के तबीयत उदास है
चुभती है कल वो जाम-ए-सितारों की रोशनी
ऐ चाँद डूब जा के तबीयत उदास है
शायद तेरे लबों की चटक से हो जी बहाल
ऐ दोस्त मुस्कुरा के तबीयत उदास है
है हुस्न का फ़ुसूँ भी इलाज-ए-फ़ुसूर्दगी
रुख़ से नक़ाब उठा के तबीयत उदास है
मैंने कभी ये ज़िद तो नहीं की पर आज शब
ऐ महजबीं न जा के तबीयत उदास है
sāqī śharāb lā ke tabīyat udās hai
mutrib rabāb uṭhā ke tabīyat udās hai
chubhtī hai kal vo jām-e-sitāroṅ kī rośhnī
ai chāṇd ḍūb jā ke tabīyat udās hai
śhāyad tere laboṅ kī chaṭak se ho jī bahāl
ai dost muskurā ke tabīyat udās hai
hai husn kā fusūṇ bhī ilāj-e-fusūrdgī
rukh se naqāb uṭhā ke tabīyat udās hai
maiṅne kabhī ye zid to nahīṅ kī par āj śhab
ai mahajbīṅ na jā ke tabīyat udās hai