रुख़सत हुआ तो बात मेरी मान कर गया
रुख़सत हुआ तो बात मेरी मान कर गया
जो उसके पास था वो मुझे दान कर गया
बिछड़ा कुछ इस अदा से के रुत ही बदल गई
इक शख़्स सारे शहर को वीरान कर गया
दिलचस्प वाक़या है के कल इक अजीज़ दोस्त
अपने मुफ़ात पर मुझे क़ुरबान कर गया
कितनी सुधर गई है जुदाई में ज़िंदगी
हाँ वो जफ़ा से मुझपे तो एहसान कर गया
'ख़ालिद्' मैं बात बात पर कहता था जिसको जान
वो शख़्स आख़रत मुझे बेजान कर गया
rukhsat huā to bāt merī mān kar gayā
jo uske pās thā vo mujhe dān kar gayā
bichhaṛā kuchh is adā se ke rut hī badal gaī
ik śhakhs sāre śhahar ko vīrān kar gayā
dilchasp vāqyā hai ke kal ik ajīz dost
apne mufāt par mujhe qurbān kar gayā
kitnī sudhar gaī hai judāī meṅ ziṅdgī
hāṇ vo jafā se mujhpe to ehsān kar gayā
'khālid' maiṅ bāt bāt par kahtā thā jisko jān
vo śhakhs ākhrat mujhe bejān kar gayā