रोया करेंगे आप भी पहरों इसी तरह्
रोया करेंगे आप भी पहरों इसी तरह
अटका कहीं जो आपका दिल भी मेरी तरह
ना ताब हिज्र में है न आराम वस्ल में
कम-बख़्त दिल को चैन नहीं है किसी तरह
मर चुक कहीं के तू ग़म-ए-हिज्राँ से छूट जाये
कहते तो हैं भले की वो लेकिन बुरी तरह
ना जाये वाँ बनी है ना बिन जाये चैन है
क्या कीजिये हमें तो है मुश्किल सभी तरह
लगती हैं गालियाँ भी तेरे मुँह से क्या भली
क़ुर्बान तेरे फिर मुझे कह ले इसी तरह
हूँ जाँ-ब-लब बुतान-ए-सितमगर के हाथ से
क्या सब जहाँ में जीते हैं 'मोमिन्' इसी तरह्
royā kareṅge āp bhī pahroṅ isī tarah
aṭkā kahīṅ jo āpkā dil bhī merī tarah
nā tāb hijr meṅ hai na ārām vasl meṅ
kam-bakht dil ko chain nahīṅ hai kisī tarah
mar chuk kahīṅ ke tū ġham-e-hijrāṇ se chhūṭ jāye
kahte to haiṅ bhale kī vo lekin burī tarah
nā jāye vāṇ banī hai nā bin jāye chain hai
kyā kījiye hameṅ to hai muśhkil sabhī tarah
lagtī haiṅ gāliyāṇ bhī tere muṇh se kyā bhalī
qurbān tere phir mujhe kah le isī tarah
hūṇ jāṇ-ba-lab butān-e-sitamgar ke hāth se
kyā sab jahāṇ meṅ jīte haiṅ 'momin' isī tarah