रोशनी लेने चले थे और अंधेरे छा गये
रोशनी लेने चले थे और अंधेरे छा गये
मुस्कुराने भी न पाये थे के आँसू आ गये
ज़िंदगी अब मौत से बढ़कर भयानक हो गई
जीने वाले ज़िंदगी के नाम से घबरा गये
आह वो मंज़िल जो मेरी ग़फ़लतों से ग़ुम हुई
हाय वो रहबर जो मुझको राह से भटका गये
उनको क्या चाहा के एक आलम मुख़ालिफ़ हो गया
इक ख़ुशी क्या माँग ली के ग़म के बादल छा गये
rośhnī lene chale the aur aṅdhere chhā gaye
muskurāne bhī na pāye the ke āṇsū ā gaye
ziṅdgī ab maut se baṛhkar bhayānak ho gaī
jīne vāle ziṅdgī ke nām se ghabrā gaye
āh vo maṅzil jo merī ġhafaltoṅ se ġhum huī
hāy vo rahbar jo mujhko rāh se bhaṭkā gaye
unko kyā chāhā ke ek ālam mukhālif ho gayā
ik khuśhī kyā māṇg lī ke ġham ke bādal chhā gaye