Roshan jamaal-e-yaar teree anjuman tamaam

रोशन जमाल-ए-यार तेरी अंजुमन तमाम्
Year
Language

रोशन जमाल-ए-यार तेरी अंजुमन तमाम
दहका हुआ है आतिश-ए-गुल से चमन तमाम

हैरत ग़ुरूर-ए-हुस्न पे शोख़ी से इज़्तराब
दिल ने भी तेरे सीख लिये हैं चलम तमाम

अल्ला रे जिस्म-ए-यार की ख़ूबी के ख़ुद-ब-ख़ुद
रंगीनियों में डूब गया पैरहन तमाम

देखो तो हुस्न-ए-यार की जादू-निगारियाँ
बेहोश इक नज़र में हुई अंजुमन तमाम्

rośhan jamāl-e-yār terī aṅjuman tamām
dahkā huā hai ātiśh-e-gul se chaman tamām

hairat ġhurūr-e-husn pe śhokhī se izatrāb
dil ne bhī tere sīkh liye haiṅ chalam tamām

allā re jism-e-yār kī khūbī ke khud-ba-khud
raṅgīniyoṅ meṅ ḍūb gayā pairahan tamām

dekho to husn-e-yār kī jādū-nigāriyāṇ
behośh ik nazar meṅ huī aṅjuman tamām