रोने से और इश्क़ में बेबाक हो गये
रोने से और इश्क़ में बेबाक हो गये
धोये गये हम ऐसे कि बस पाक हो गये
कहता है कौन नाला-ए-बुलबुल को बे-असर
परदे में गुल कि लाख जिगर चाक हो गये
करने गये थे उससे तग़ाफ़ुल का हम गिला
की एक ही निगाह कि बस ख़ाक हो गये
इस रंग से उठाई कल उसने असद की लाश
दुश्मन भी जिसको देखके ग़मनाक हो गये
rone se aur iśhq meṅ bebāk ho gaye
dhoye gaye ham aise ki bas pāk ho gaye
kahtā hai kaun nālā-e-bulbul ko be-asar
parde meṅ gul ki lākh jigar chāk ho gaye
karne gaye the usse taġhāful kā ham gilā
kī ek hī nigāh ki bas khāk ho gaye
is raṅg se uṭhāī kal usne asad kī lāśh
duśhman bhī jisko dekhke ġhamnāk ho gaye