Ret par likh ke meraa naam mitaayaa na karo

रेत पर लिख के मेरा नाम मिटाया न करो
Year
Language

रेत पर लिख के मेरा नाम मिटाया न करो
आँख सच बोलती हैं प्यार छुपाया न करो

लोग हर बात का अफ़साना बना लेते हैं
सबको हालात की रूदाद सुनाया न करो

ये ज़ुरूरी नहीं हर शख़्स मसीहा ही हो
प्यार के ज़ख़्म अमानत हैं दिखाया न करो

शहर-ए-एहसास में पथराव बहुत हैं 'मोहसिन्'
दिल को शीशे के झरोखों में सजाया न करो

ret par likh ke merā nām miṭāyā na karo
āṇkh sach boltī haiṅ pyār chhupāyā na karo

log har bāt kā afsānā banā lete haiṅ
sabko hālāt kī rūdād sunāyā na karo

ye zurūrī nahīṅ har śhakhs masīhā hī ho
pyār ke zakhm amānat haiṅ dikhāyā na karo

śhahar-e-ehsās meṅ pathrāv bahut haiṅ 'mohsin'
dil ko śhīśhe ke jharokhoṅ meṅ sajāyā na karo