paṅchhī nadiyā pavan ke jhoṅke
koī sarahad nā inheṅ roke
sarahdeṅ insānoṅ ke lie haiṅ
socho tumne aur maine kyā pāyā insāṅ ho ke
paṅchhī nadiyā …
jo ham donoṅ paṅchhī hote
tairte ham is nīl gagan meṅ
paṅkh pasāre
sārī dhartī apnī hotī
apne hote sāre nazāre
khulī fizāoṅ meṅ uṛte
apne dil meṅ ham sārā pyār samo ke
paṅchhī nadiyā …
jo maiṅ hotī nadiyā aur tum pavan ke jhoṅke to kyā hotā
pavan ke jhoṅke nadī ke tan ko jab chhūte haiṅ
lahreṅ hī lahreṅ bantī haiṅ
ham donoṅ jo milte to kuchh aisā hotā
sab kahte ye lahar lahar jahāṅ bhī jāe
isko nā koī ṭoke
paṅchhī nadiyā …