kabhī kabhī sapnā lagtā hai, kabhī ye sab apnā lagtā hai
tum samjhā do man ko kyā samjhāūṇ
mujhe agar bāhoṅ meṅ bhar lo, śhāyad tum ko chain mile
chain to us din khoyā maine, jis din tum se nain mile
phir bhī ye achchhā lagtā hai, magar abhī sapnā lagtā hai
tum samjhā do man ko kyā samjhāūṇ
chehre par hai aur ek chehrā, kaise use haṭāūṇ
merā sach gar tum apnā lo, janam janam tar jāūṇ
aise sab sachchā lagtā hai, sab kā sab sapnā lagtā hai
tum samjhā do man ko kyā samjhāūṇ