ki: kabhī kabhī sapnā lagtā hai
kabhī ye sab apnā lagtā hai
tum samjhā do, man ko kyā samjhāūṅ
ā: kabhī kabhī sapnā lagtā hai
kabhī ye sab apnā lagtā hai
tum samjhā do, man ko kyā samjhāūṅ
ā: mujhe agar bāhoṅ meṅ bhar lo, śhāyad tumko chain mile - 2
ki: chain to us din khoyā maiṅne, jis din tumse nain mile
phir bhī ye achchhā lagtā hai, magar abhī sapnā lagtā hai
tum samjhā do, man ko kyā samjhāūṅ
ā: kabhī kabhī sapnā lagtā hai
kabhī ye sab apnā lagtā hai
tum samjhā do, man ko kyā samjhāūṅ
ki: chehre pe hai, aur ek chehrā, kaise use haṭāuṅ
merā sach gar tum apnā lo, janam janam tarsāūṅ
aise sab achchhā lagtā hai, sab kā sab sapnā lagtā hai
tum samjhā do, man ko kyā samjhāūṅ
ā, ki: kabhī kabhī sapnā lagtā hai
kabhī ye sab apnā lagtā hai
tum samjhā do, man ko kyā samjhāūṅ
ki: kabhī kabhī sapnā lagtā hai