रंज की जब गुफ़्तगू होने लगी
रंज की जब गुफ़्तगू होने लगी
आप से तुम तुम से तू होने लगी
चाहिये पैग़ाम बर दोनों तरफ़
लुत्फ़ क्या जब दू-ब-दू होने लगी
मेरी रुस्वाई की नौबत आ गई
उनकी शोहरत कू-ब-कू होने लगी
ना-उमीदी बढ़ गई है इस कदर
आरज़ू की आरज़ू होने लगी
अबके मिल कर देखिये क्या रंग हो
फिर हमारी जुस्तजू होने लगी
'दाग़्' इतराये हुये फिरते हैं आज
शायद उनकी आबरू होने लगी
raṅj kī jab guftgū hone lagī
āp se tum tum se tū hone lagī
chāhiye paiġhām bar donoṅ taraf
lutf kyā jab dū-ba-dū hone lagī
merī rusvāī kī naubat ā gaī
unkī śhohrat kū-ba-kū hone lagī
nā-umīdī baṛh gaī hai is kadar
ārazū kī ārazū hone lagī
abke mil kar dekhiye kyā raṅg ho
phir hamārī justjū hone lagī
'dāġh' itrāye huye phirte haiṅ āj
śhāyad unkī ābrū hone lagī