Rahee hai daad talab unkee shokhiyaan hamse mukesh gazal

रही है दाद तलब उनकी शोखियां हमसे मुकेश गज़ल
Year
Language

रही है दाद तलब उनकी शोखियां हमसे
अदा शनास तो बहुत हैं मगर कहाँ हमसे

सुना दिये थे कभी कुछ गलत-सलत किस्से
वो आज तक हैं उसी तरह बदगुमां हमसे

ये कुंज क्‌यूँ ना ज़िआरत गहे मुहब्बत हो
मिले थे वो इन्ही पेड़ों के दर्मियां हमसे

हम ही को ज़ोक़-ए-नज़ारा नहीं रहा वरना
इशारे आज भी करती हैं खिड़कियां हमसे

हर एक नशे में तेरे बदन का खयाल
ना जाने टूट गई कई सुराहियां हमसे

rahī hai dād talab unkī śhokhiyāṅ hamse
adā śhanās to bahut haiṅ magar kahāṇ hamse

sunā diye the kabhī kuchh galat-salat kisse
vo āj tak haiṅ usī tarah badgumāṅ hamse

ye kuṅj k‌yūṇ nā ziārat gahe muhabbat ho
mile the vo inhī peṛoṅ ke darmiyāṅ hamse

ham hī ko zoq-e-nazārā nahīṅ rahā varnā
iśhāre āj bhī kartī haiṅ khiṛkiyāṅ hamse

har ek naśhe meṅ tere badan kā khayāl
nā jāne ṭūṭ gaī kaī surāhiyāṅ hamse