Raaten guzaar dee hain taaron kee roshnee men

रातें गुज़ार दी हैं तारों की रोशनी में
Year
Language

रातें गुज़ार दी हैं तारों की रोशनी में
अफ़साने सुन चुका हूँ अपनी ही ख़ामोशी में

लरज़िश सी हो रही है आलम की कुल-फ़िज़ा में
रोता है कोई बेकस शायद के बेकसी में

मैं महव-ए-बन्दगी हूँ वो मायल-ए-तग़ाफ़ुल
कुछ लुत्फ़ आ रहा है इस तर्ज़-ए-दिलबरी में

उकता गया है आलम अफ़साना सुनते-सुनते
आँखें झपक रहे हैं तारे भी ख़ामोशी में

rāteṅ guzār dī haiṅ tāroṅ kī rośhnī meṅ
afsāne sun chukā hūṇ apnī hī khāmośhī meṅ

laraziśh sī ho rahī hai ālam kī kul-fizā meṅ
rotā hai koī bekas śhāyad ke beksī meṅ

maiṅ mahav-e-bandgī hūṇ vo māyal-e-taġhāful
kuchh lutf ā rahā hai is tarz-e-dilabrī meṅ

uktā gayā hai ālam afsānā sunte-sunte
āṇkheṅ jhapak rahe haiṅ tāre bhī khāmośhī meṅ