Raat ke sannaate men hamne k‌yaa k‌yaa dhokhe khaaye hain

रात के सन्नाटे में हमने क्‌या क्‌या धोखे खाये हैं
Year
Language

रात के सन्नाटे में हमने क्‌या क्‌या धोखे खाये हैं
अपना ही जब दिल धड़का तो हम समझे वो आये हैं

सूनी गलियाँ बन्द झरोखे या फिर ग़म के साये हैं
चाँद सितारे निकले हैं लेकिन मेरे लिये क्‌या लाये हैं

जिस दिन से तुम बिछड़ गये ये हाल है अपनी आँखों का
जैसे दो बादल सावन के आपस में टकराये हैं

अब तो राह न भूलोगे तुम अब तो हमसे आन मिलो
देखो हमने पलक पलक पर सौ सौ दीप जलाये हैं

rāt ke sannāṭe meṅ hamne k‌yā k‌yā dhokhe khāye haiṅ
apnā hī jab dil dhaṛkā to ham samjhe vo āye haiṅ

sūnī galiyāṇ band jharokhe yā phir ġham ke sāye haiṅ
chāṇd sitāre nikle haiṅ lekin mere liye k‌yā lāye haiṅ

jis din se tum bichhaṛ gaye ye hāl hai apnī āṇkhoṅ kā
jaise do bādal sāvan ke āpas meṅ ṭakrāye haiṅ

ab to rāh na bhūloge tum ab to hamse ān milo
dekho hamne palak palak par sau sau dīp jalāye haiṅ