रात दिन तेरे खयाल आने लगे
रात दिन तेरे खयाल आने लगे
हौले हौले मुझ को यूँ सताने लगे
मुझे ये क्या हुआ है कुछ पता नहीं
हुआ है कुछ मगर जो दिल यहाँ नहीं
आहा आहा आहा ओ आहा आहा आहा
रात दिन तेरे खयाल …
कभी कभी लगा वो मेरे पास है
कभी वो मुझ से दूर हो गया
ये मेरी बेखुदी मेरा दीवानापन
वो मेरी धड़कनों में खो गया
मुझे ये क्या हुआ …
मैं अपने आप में थी इस तरह से गुम
वो कब मेरे करीब आ गया
पता नहीं चला मेरे हाथों में
बन के वो नसीब आ गया
मुझे ये क्या हुआ …
rāt din tere khayāl āne lage
haule haule mujh ko yūṇ satāne lage
mujhe ye kyā huā hai kuchh patā nahīṅ
huā hai kuchh magar jo dil yahāṇ nahīṅ
āhā āhā āhā o āhā āhā āhā
rāt din tere khayāl …
kabhī kabhī lagā vo mere pās hai
kabhī vo mujh se dūr ho gayā
ye merī bekhudī merā dīvānāpan
vo merī dhaṛaknoṅ meṅ kho gayā
mujhe ye kyā huā …
maiṅ apne āp meṅ thī is tarah se gum
vo kab mere karīb ā gayā
patā nahīṅ chalā mere hāthoṅ meṅ
ban ke vo nasīb ā gayā
mujhe ye kyā huā …