रास्ते याद नहीं राहनुमा याद नहीं
रास्ते याद नहीं राहनुमा याद नहीं
कुछ मुझे अब तेरी गलियों के सिवा याद नहीं
एक वादा था जो शीशे की तरह टूट गया
हादसा कब ये हुआ कैसे हुआ याद नहीं
याद क्या आयें वो बीते हुये सावन मुझको
मैं वो पंछी हूँ जिसे अपनी सदा याद नहीं
दे सके तू मेरे जज़्बात का ताना जिसको
मुझको ऐसी तो कोई अपनी ख़ता याद नहीं
दूर रह कर भी तेरी याद को पूजा मैंने
ये न कहना मुझे आदाब-ए-वफ़ा याद नहीं
rāste yād nahīṅ rāhnumā yād nahīṅ
kuchh mujhe ab terī galiyoṅ ke sivā yād nahīṅ
ek vādā thā jo śhīśhe kī tarah ṭūṭ gayā
hādsā kab ye huā kaise huā yād nahīṅ
yād kyā āyeṅ vo bīte huye sāvan mujhko
maiṅ vo paṅchhī hūṇ jise apnī sadā yād nahīṅ
de sake tū mere jazbāt kā tānā jisko
mujhko aisī to koī apnī khatā yād nahīṅ
dūr rah kar bhī terī yād ko pūjā maiṅne
ye na kahnā mujhe ādāb-e-vafā yād nahīṅ