ye kūche, ye… haṅ ''' , ghar dilakśhī ke
ye kūche, ye nīlām ghar dilakśhī ke
ye luṭte hue kārvāṅ ziṅdgī ke
kahāṇ haiṅ, kahāṇ haiṅ muhāfiz khudī ke
jinheṅ nāz hai hind par vo kahāṇ haiṅ
kahāṇ haiṅ, kahāṇ haiṅ, kahāṇ haiṅ
ye purpeṅch galiyāṅ, ye badnām bāzār
ye gumnām rāhī, ye sikkoṅ kī jhankār
ye ismat ke saude, ye saudoṅ pe takrār
jinhe nāz …
ye sadiyoṅ se bekhauf sahmī sī galiyāṅ
ye maslī huī adhkhilī zard kaliyāṅ
ye biktī huī khokhlī raṅgarliyāṇ
jinhe nāz …
vo ujle darīchoṅ meṅ pāyal kī chhan chhan
thakī hārī sāṅsoṅ pe table kī dhan dhan (2)
ye berūh kamroṅ me khāṅsī ki ṭhan ṭhan
jinhe nāz …
ye phūloṅ ke gajre, ye pīkoṅ ke chhīṅṭe
ye bebāk nazre, ye gustākh fiqre
ye ḍhalke badan aur ye bīmār chehre
jinhe nāz …
yahāṇ pīr bhī ā chuke haiṅ, javāṅ bhī
tan-o-mand beṭe bhī, abbā miyāṇ bhī
ye bīvī hai (2) aur bahan hai, māṇ hai
jinhe nāz …
madad chāhtī hai ye havā kī beṭī
yaśhodā kī hamjins rādhā kī beṭī (2)
payambar kī ummat zulekhā kī beṭī,
jinhe nāz …
zarā is mulk ke rahabroṅ ko bulāo
ye kūche ye galiyāṅ ye maṅzar dikhāo
jinheṅ nāz hai hind par unko lāo
jinhe nāz hai hind par vo kahāṇ haiṅ
kahāṇ haiṅ, kahāṇ haiṅ, kahāṇ haiṅ