प्यास वो दिल की बुझाने कभी आया भी नहीं
प्यास वो दिल की बुझाने कभी आया भी नहीं
कैसा बादल है कि जिसका कोई साया भी नहीं
बेरुख़ी इससे बड़ी और भला क्या होगी
एक मुद्दत से हमें उसने सताया भी नहीं
रोज़ आता है दर-ए-दिल पे वो दस्तक देने
आज तक हमने जिसे पास बुलाया भी नहीं
सुन लिया कैसे ख़ुदा जाने ज़माने भर ने
वो फ़साना जो कभी हमने सुनाया भी नहीं
तुम तो शायर हो 'क़तील्' और वो इक आम सा शख्स
उसने चाहा भी तुझे और जताया भी नहीं
pyās vo dil kī bujhāne kabhī āyā bhī nahīṅ
kaisā bādal hai ki jiskā koī sāyā bhī nahīṅ
berukhī isse baṛī aur bhalā kyā hogī
ek muddat se hameṅ usne satāyā bhī nahīṅ
roz ātā hai dar-e-dil pe vo dastak dene
āj tak hamne jise pās bulāyā bhī nahīṅ
sun liyā kaise khudā jāne zamāne bhar ne
vo fasānā jo kabhī hamne sunāyā bhī nahīṅ
tum to śhāyar ho 'qatīl' aur vo ik ām sā śhakhs
usne chāhā bhī tujhe aur jatāyā bhī nahīṅ