Pyaar divaanaa hotaa hai, mastaanaa hotaa hai

प्यार दिवाना होता है, मस्ताना होता है
Year
Language

प्यार दीवाना होता है, मस्ताना होता है
हर खुशी से, हर गम से, बेगाना होता है

शमा कहे परवाने से, परे चला जा
मेरी तरह जल जाएगा, यहाँ नहीं आ
वो नहीं सुनता, उस को जल जाना होता है

रहे कोई सौ परदों में, डरे शर्म से
नजर अजी लाख चुराए, कोई सनम से
आ ही जाता है जिस पे, दिल आना होता है

सुनो किसी शायर ने ये कहा बहोत खूब
मना करे दुनियाँ लेकिन मेरे महबूब
वो छलक जाता है जो पैमाना होता है

pyār dīvānā hotā hai, mastānā hotā hai
har khuśhī se, har gam se, begānā hotā hai

śhamā kahe parvāne se, pare chalā jā
merī tarah jal jāegā, yahāṇ nahīṅ ā
vo nahīṅ suntā, us ko jal jānā hotā hai

rahe koī sau pardoṅ meṅ, ḍare śharm se
najar ajī lākh churāe, koī sanam se
ā hī jātā hai jis pe, dil ānā hotā hai

suno kisī śhāyar ne ye kahā bahot khūb
manā kare duniyāṇ lekin mere mahbūb
vo chhalak jātā hai jo paimānā hotā hai