फिर उससे मिले जिसकी ख़ातिर बदनाम हुये
फिर उससे मिले जिसकी ख़ातिर बदनाम हुये बदनाम हुये
थे ख़ास बहुत अब तक आली अब आम हुये बदनाम हुये
दो लम्हे चाँदनी रातों के
दो लम्हे प्यार की बातों के
इल्ज़ाम हुये बदनाम हुये
यूँ तो न गई वाँ कोई ख़बर
पर आहों के ख़ामोश असर
पैगाम हुये बदनाम हुये
यूँ तो न दिये कुछ सुख हमको
पर उनसे जो पहुँचे दुख हमको
इनआम हुये बदनाम हुये
जब होने लगे ये हाल अपने
सब रोशन साफ़ ख़याल अपने
इबहाम हुये बदनाम हुये
phir usse mile jiskī khātir badnām huye badnām huye
the khās bahut ab tak ālī ab ām huye badnām huye
do lamhe chāṇdnī rātoṅ ke
do lamhe pyār kī bātoṅ ke
ilzām huye badnām huye
yūṇ to na gaī vāṇ koī khabar
par āhoṅ ke khāmośh asar
paigām huye badnām huye
yūṇ to na diye kuchh sukh hamko
par unse jo pahuṇche dukh hamko
inaām huye badnām huye
jab hone lage ye hāl apne
sab rośhan sāf khayāl apne
ibhām huye badnām huye