chīn-o-arab hamārā, hindostāṇ hamārā
rahne ko ghar nahī hai, sārā jahāṇ hamārā
chīn-o-arab hamārā …
kholī bhī chhin gaī hai, bencheṅ bhī chhin gaī haiṅ
saṛkoṅ pe ghūmtā hai ab kārvāṇ hamārā
jebeṅ haiṅ apnī khālī, kyoṅ detā varnā gālī
vo santrī hamārā, vo pāsbāṇ hamārā
chīn-o-arab hamārā …
jitnī bhī bilḍiṅgeṅ thīṅ, seṭhoṅ ne bāṇṭ lī haiṅ
fuṭpāth bambaī ke haiṅ āśhiyāṇ hamārā
sone ko ham kalandar, āte haiṅ borī bandar
har ek kholī yahāṇ hai rāzdāṇ hamārā
chīn-o-arab hamārā …
tālīm hai adhūrī, miltī nahī majūrī
mālūm kyā kisīko, dard-e-nihāṇ hamārā
chīn-o-arab hamārā …
patlā hai hāl-e-apnā, lekin lahū hai gāṛhā
phaulād se banā hai, har naujvāṇ hamārā
mil-julke is vatan ko, aisā sajāyeṅge ham
hairat se muṇh takegā sārā jahāṇ hamārā
chīn-o-arab hamārā …