Peene pilaane ke sab hain bahaane

पीने पिलाने के सब हैं बहाने
Year
Language

पीने पिलाने के सब हैं बहाने
कहाँ की मोहब्बत कहाँ के फ़साने

ख़ुशी में भी पी है तो ग़म में भी पी है
हैं मस्ती भरे ये मय के पैमाने

किसी ने मुझे मस्त नज़रों से देखा
क़दम ख़ुद-ब-ख़ुद अब लगे लड़खड़ाने

सताये न हमको कभी याद-ए-माज़ी
चलो भूल जायें वो गुज़रे ज़माने

चलो अब तो 'गुमनाम्' इस मयकदे से
तुम्हें दफ़्न करने हैं सब ग़म पुराने

pīne pilāne ke sab haiṅ bahāne
kahāṇ kī mohabbat kahāṇ ke fasāne

khuśhī meṅ bhī pī hai to ġham meṅ bhī pī hai
haiṅ mastī bhare ye may ke paimāne

kisī ne mujhe mast nazroṅ se dekhā
qadam khud-ba-khud ab lage laṛkhaṛāne

satāye na hamko kabhī yād-e-māzī
chalo bhūl jāyeṅ vo guzre zamāne

chalo ab to 'gumnām' is mayakde se
tumheṅ dafn karne haiṅ sab ġham purāne