batā dūṇ kyā lānā
tum lauṭ ke ā jānā
ye chhoṭā sā nazrānā
piyā, yād rakhoge ke bhūl jāoge
sajte haiṅ jo tan pe hamāre
vo haiṅ piyā nain tumhāre
hai laṭ jo māthe pe āī sī
chūṛī hai merī kalāī kī
palaṭ ke jab ānā
ye laṭ, ye nazar lānā
ye chhoṭā sā nazrānā
piyā, yād rakhoge ke bhūl jāoge
chāhat se ye māṇg bharūṇgī
biṅdiyā kā maiṅ chāh karūṇgī
māthe pe lāge suhānī sī
hoṅṭhoṅ kī tere niśhānī sī
balamvā jab ānā
biṅdiyā tumhī ban jānā
ye chhoṭā sā nazrānā
piyā, yād rakhoge ke bhūl jāoge
āṇkhoṅ meṅ chāṇd banke ubharnā
dekho balam der nā karnā
rahtā hai dil meṅ tumhārā dil
ḍartā hai phir bhī hamārā dil
bahut nā tarsānā
tum lauṭ ke ā jānā
ye chhoṭā sā nazrānā
piyā, yād rakhoge ke bhūl jāoge