SB: jisne is duniyāṇ meṅ ākar
dil nā diyā aur dil nā liyā
jine ko sau sāl jiyā
par ham to kaheṅge khākh jiyā
SB: o dilvāloṇ dil kā lagānā achchā hai
chR: par kabhī kabhī
SB: dil meṅ kisī kā pyār basānā achchā hai
chR: par kabhī kabhī
SB: duniyāṇ meṅ jo pyār nā hotā tum hī kaho kyā hotā
chR: koī nā ṭhaṇṛi āheṅ bhartā koī nā dard ke māre rotā
SB: hasnevāloṇ āṇkh bahānā achchā hai
chR: par kabhī kabhī
SB: o dilvāloṇ …
SB: śhamā nā ho to parvāne ko kaun gale se lagāe
chR: śhamā nā ho to parvānā kyoṅ apnā āp jalāye
SB: kisī kī khātir jān jalānā achchā hai
chR: par kabhī kabhī
SB & chR: o dilvāloṇ …