Paseene-paseene hue jaa rahe ho

पसीने-पसीने हुए जा रहे हो
Year
Language

पसीने-पसीने हुए जा रहे हो
यह बोलो कहाँ से चले आ रहे हो

हमें सब्र करने को यह तो रहे हो
मगर देख लो, ख़ुद ही घबरा रहे हो

यह किसकी बुरी तुमको नज़र लग गई है
बहारों के मौसम में मुर्झा रहे हो

यह आईना है यह तो सच ही कहेगा
क्‌यों अपनी हक़ीक़त से कतरा रहे हो

pasīne-pasīne hue jā rahe ho
yah bolo kahāṇ se chale ā rahe ho

hameṅ sabr karne ko yah to rahe ho
magar dekh lo, khud hī ghabrā rahe ho

yah kiskī burī tumko nazar lag gaī hai
bahāroṅ ke mausam meṅ murjhā rahe ho

yah āīnā hai yah to sach hī kahegā
k‌yoṅ apnī haqīqat se katrā rahe ho